Top 10 best chrome extensions for bloggers in hindi

Top 10 best chrome extensions for bloggers in hindi

10 best chrome extensions bloggers - Google ka khud ka browser hai jise hum google chrome ke naam se jaante hai. Or chrome ki madad se hum google par searches karte hai jaise koi bhi hotel, school , sports etc ke baarein me.


Or agar aap blogger hai to apko apne competitior ko bar bar analyse karna hota hai or itna hi nahi or bhi kafi sare tasks hote hai jo bloggers ko karne hote hai jaise word count karna, Screenshots lena, blog post ko social media par share karna etc
 Humare inhi tasks ko easy banane ke liye hum use karte hai best Chrome extensions for bloggers  ka

10 chrome extension

Chrome extensions humare task ko easy banana ka kaam karte hai ye bilkul phone me installed hui apps ki tarah hote hai fark sirf itna hai ke aap chrome extensions ko apne pc ya laptop par chrome browser use karte time kar sakte hai.

 agar  aap is post ko padh rahe hai to jaahir si baat hai ek aap ek blogger honge. Or apne bhi kabhi na kabhi chrome extensions ke bare me suna hi hoga. To aaj ke is article me hum share karenege apse top 10 chrome extension for blogging

Top 10 best chrome extensions bloggers ke liye

1.Keywords Everywhere


Yeh ek best chrome extensions bloggers ke liye, jiksi help se aap apne article me use kiye gaye keywords ki volume , cpc or competitoncheck kar sakte hai or analyse kar sakte ke ke apko us particular keyword par kaam karna chaiye ya nahi.

Waise to humare pass kaafi saare  keyword research tool hai jinki help se aap keyword ka competition check kar skate hai par jaise ki mene   bataya ke chrome extension automated hote hai or task ko easy banate hai.

To jab bhi aap kisi keyword ko search karneg to apko niche uski volume or completion khud dikh jaynge.

2. Grammarly 

Grammarly chrome extension jyadatr English bloggers use karte hai. Ye chrome extension apke likhe hue article ki grammar mistakes , spelling mistakes , senetence structure vagera sudharne yaani correct karne me bahut help karta hai.
iske do version hote hai free versions me kuch basics features hai jaise grammar correction, speeling mistakes correction
premium plan me kuch advance features hai jaise –

3. Shareholic 

Aap blogging karte hai to Jahir si baat hai , app apne article ko social media  par share jarur karte honge or agar nahi karte hai to aaj hi se share karna start kardijiye taki apko social traffic bhi mil sake. But kai bar social media par hume laziness ki vajah se share nahi karte hai par uska solution shareholic chrome extension hai.

Shareholic chrome extension ka use karke aap asani se ek hi click me apne article ko social media sites like facebook, twitter ,linkedin etc par easily share kar skate hai

4. Lastpass 


     Blogging field me enter karte time or is field me kaam karte time kaafi sari websites hoti hai jin par hume login karna hota hai. Uske liye apko har site par apna account banana padta hai me khud kam se kum 20+ websites par accounrt bana chukka.

Account banana asaan hai par kai bar hum uska password bhul jatey hai or isi kaam ko asaaan banana ke liye humare pass ahi chrome extension lastpass. Yeh extension apke logins and passwods ko save karta hai har us ek website ke liye jo aap choose karte hai isme add karne ke liye  ye bilkul encrypted way me hota hia so darne ki koi baat nahi.

Or agar aap next time us website ko firse visite kate hai to ye password ko autofill karke apka time save karta hai. Hai na majedar?

5. Email Hunter

E-MAIL hunter chrome extension mere hisab se is list ka sabse best chrome extension hai kyuki yeh extension apko un visitores ki email collect karke deta hai jo ki apki site ko visit karte hai.
email collect karna ek blogger ke liye bahut hi beneficial hota hai , jab bhi ap guest post karte hai tab us person ko contact ek formal tarike se karna chaiye or email send karna best way hota hai ek outreach ke liye.

Itna hi nahi agar apke pass email hai apne visitors ka to ap unko apna koi bhi product sell karte sakte hai email ki help se. so ab aap samajh hi chuke hongey ke email hunter kisliye itna useful hai.

6. Google Dictionary 


Google dictionary ek aesa extension hai jiski help se aap kisi  bhi word ka meaning sirf ek double click karte hi check kar skate hai.

Ab apko google apr  jakar kisi word ka meaning search karne ki jarurt nahi, bas kisi bhi post ko read karte time agar koi word na samajh aye to uspar double click kijiye or meaning apke samne hoga

7. Word Plus counter


Apne competitiors ko piche karne ke liye apko apne related blog post par us se jyada word likhne hote hai, vese to or bhi bahut factors hai ranking ke liye par ye bhi ek main factor hai
iske liyekafi bloggers apne competitior ki posts ka word count krne ke liye us post ko copy paste karke wordcounter naam ki website ki help se pata lagate hai ki kitne words ki post hai,isme kaafi time bhi lagta hai

iski bajaye aap word counter plus chrome extension apne browser me install kariye jiski madad se aapko jis bhi blog post ki words count karni hogi use ctrl+A press karke select karein and right click karne pe word counter plus ka option ayga ,uspar clcik karke pata kar lein.

8. WhatRuns 

whatruns ek aisa chrome extension hai jiki help se aap samne vale ki site me konse plugin use kiye hai, kya theme hai,konsa CMS hai ye sab jaankari le sakte hai

kabhi kabhi internet surf karte time hume koi aesi website dikh jati hai jiska design bahut hi attractive hota hai or hum bhi chatey hai vesa hi design humari website ka bhi ho sake
to uske liye aap whatruns plugin ka use kar sakte hai.

9. SEOQuake 

Blogging field me ek bahut hi jyada popular and use kiye jaane vala chrome extension hai SEOquake.
seoquake ki help se aap kis bhi site ka Google Index , Google page rank, Bing index, Alexa Rank, WhoIS , SEMrush Rank vagera jaan sakte hai.

To agar aap blogging me new hai to me apko recommend karunga ke aap is chrome extensin ko jarur use karein.

10. Shorten By text united 


Agar ap kisi aese blog post par land karte hai joki bahut long hai but aapko us blog post ka main idea chaiye to usme yeh chrome extension apki help kar skata hai.

Is chrome extension ki help se aap kisi bhiblog post ka main idea padh sakte hai.
Iski ek or khaas bat yeha hai ke ye ads ko bhi block kar sakta hai.

Final words

Umeed karta hu apko humara ye post best chrome extension for bloggers pasanad aaya hoga or apne kuch aise chrome extensions ke naam bhi padhe honge is blog post me jo ki shayd apne pahle na padhe ho.

aap in sabhi chrome extensions ko use jarur kariye taaki apke kaaam or bhi jyada easy ho sake and aap free mind hokar blogging kar sake.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel